Tuesday 15 November 2011

jaan-e-sukuun aa bhii jaa teraa hii intazaar hai - Yahya Jasdanwalla

jaan-e-sukuun aa bhii jaa teraa hii intazaar hai
aankhon se ashk hai ravaan jaan bhii beqaraar hai

hone ko fasl-e-gul bhii hai daavat-e-aish hai magar
apanii bahaar kaa mujhe aaj bhii intazaar hai


saare sahaare ishq ke tuut chuke hain hijr men
ek tumhaarii yaad bas dard kii gam-gusaar hai

ahad-e-vafaa kaa aap ke lutf-o-karam kaa aap ke
aur kisii ko ho na ho mujh ko aitabaar hai

lut gaii gam kii aabaruu lut chukii dil kii aarazuu
'yahya' nigaah-e-lutf kaa phir bhii ummiidvaar hai

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved