ishq ko be-naqaab honaa thaa
aap apanaa javaab honaa thaa
terii aankhon kaa kuchh qusuur nahiin
haan mujhii ko Kharaab honaa thaa
dil ki jis par hain naqsh-e-rangaa-rang
us ko saadaa kitaab honaa thaa
hamane naakaamiyon ko dhuund liyaa
aaKhirash kaamayaab honaa thaa
0 comments:
Post a Comment