is men koii fareb to ai aasmaan nahiin - Qamar Jalalwi
is men koii fareb to ai aasmaan nahiin
bijalii vahaan girii hai jahaan aashiyaan nahiin
sayyaad main asiir kahuun kis se haal-e-dil
sirf ek tuu hai vo bhii meraa ham-zubaan nahiin
tum ne diyaa hamaarii vafaaon kaa kyaa javaab
ye ham vahaan bataayengetum ko yahaan nahiin
sajde jo but-kade men kiye merii kyaa Khataa
tum ne kabhii kahaa ye meraa aastaan nahiin
gum-karadaa raah kii mittii na ho Kharaab
gard us taraf udii hai jidhar kaaravaan nahiin
kyuun shama-e-intazaar bujhaate ho ai "Qamar"
naale hain ye kisii ke sahar kii azaan nahiin
0 comments:
Post a Comment