Monday 7 November 2011

ik muammaa hai samajhaane kaa na samajhane kaa - Fani Badayuni

ik muammaa hai samajhaane kaa na samajhane kaa
zindagii kahe ko hai khvaab hai diivaane kaa

zindagii bhii to pashemaan hai yahaan laake mujhe
dhuundhatii hai koii hiilaa mere mar jaane kaa


haddiyaan hain kaii lipatii huii zanjiron men
liye jaate hain janaazaa tere diivaane kaa

tum ne dekhaa hai kabhii ghar ko badalate hue rang
aao dekho na tamashaa mere gumkhaane kaa

ab ise daar pe lejaa ke sulaa de saaqii
yuun behakanaa nahiin achchhaa tere diivaane kaa

ham ne chhaanii hain bahot dair-o-haram kii galiyaan
kahiin paayaa na thikaanaa tere diivaane kaa

har nafas umr-e-guzashtaa kii hai mayyat "fani"
zindagii naam hai mud mud ke jiye jaane kaa

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved