Tuesday 15 November 2011

had-e-nigaah tak ye zamiin hai siyaah phir - Shahryar

had-e-nigaah tak ye zamiin hai siyaah phir
nikalii hai juganuon kii bhaTakatii sipaah phir

honThon pe aa rahaa hai koii naam baar baar
sannaaTon kii tilism ko todegii aah phir


pichhale safar kii gard ko daaman se jhaad do
aavaaz de rahii hai koii suunii raah phir

berang aasmaan ko dekhegii kab talak
manzar nayaa talaash karegii nigaah phir

dhiilii huii giraft junuun kii ke jal uThaa
taaq-e-havas men koii charaag-e-gunaah phir

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved