Monday 7 November 2011

gesuu-e- taabadaar ko aur bhii taabadaar kar - Allama Iqbal

gesuu-e- taabadaar ko aur bhii taabadaar kar
hosh-o-Khiraad shikar kar qalb-o-nazar shikar kar

tuu hai mahiit-e-bekaraan main zaraa sii aabajuu
yaa mujhe ham-kinaar kar yaa mujhe be-kinaar kar


main huun sadaf to tere haath mere gauhar kii aabaruu
main huun Khazaf to tuu mujhe gauhar-e-shaahawaar kar

nagmaa-e-naubahaar agar mere nasiib men na ho
is dam e niim soz ko taairaak-e-bahaar kar

ishq bhii ho hijaab men husn bhii ho hijaab men
yaa tuu Khud aashakaar ho yaa mujh ko aashakar kar

baag-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diyaa thaa kyon
kaar-e-jahaan daraaz hai ab meraa intazaar kar

roz-e-hisaab jab pesh ho meraa daftar-e-amal
aap bhii sharmasaar ho, mujh ko bhii sharmsaar kar

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved