Saturday 5 November 2011

gam rahaa jab tak ki dam men dam rahaa - Meer Taqi Meer

gam rahaa jab tak ki dam men dam rahaa
dil ke jaane kaa nihaayat gam rahaa

husn thaa teraa bahot aalam fareb
khat ke aane par bhii ik aalam rahaa


mere rone kii haqiiqat jis men thii
ek muddat tak vo kaagaz nam rahaa

jaamaa-e-eharaam-e-zaahid par na jaa
thaa haram men lekin naa-maharam rahaa

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved