Tuesday 15 November 2011

ek brahmann ne kahaa hai ke ye saal achchhaa hai - Sabir Dutt

ek brahmann ne kahaa hai ke ye saal achchhaa hai
zulm kii raat bahut jald Talegii ab to

aag chuulhon men har ik roz jalegii ab to
bhuuk ke maare koii bachchaa nahiin royegaa


chain kii niind har ik shaKhs yahaan soyegaa
aandhii nafarat kii chalegii na kahiin ab ke baras

pyaar kii fasal ugaaegii zamiin ab ke baras
hai yahiin ab na koii shor-sharaabaa hogaa

zulm hogaa na kahiin Khuun-kharaabaa hogaa
os aur dhuup ke sadamen na sahegaa koii

ab mere desh men beghar na rahegaa koii
naye vaadon kaa jo daalaa hai vo jaal achchhaa hai

rahanumaaon ne kahaa hai ke ye saal achchhaa hai
dil ke Khush rakhane ko ghalib ye Khayaal achchhaa hai

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved