Friday 11 November 2011

duniyaa men kaun kaun na yak baar ho gayaa - Khwaja Mir Dard

duniyaa men kaun kaun na yak baar ho gayaa
par muunh phir is tarf na kiyaa us ne jo gayaa

phiratii hai merii khaak sabaa dar-ba-dar liye
aye chashm-e-ashkabaar ye kyaa tujh ko ho gayaa


aagaah is jahaan men nahiiin gair be khudaan
jaagaa wahii idhar se jo muund aankh so gayaa

tuufaan-e-noah ne to dubaaii zamiin faqat
main nang-e-khalq saarii khudaaii dubo gayaa

baraham kahiin na ho gul-o-bulbul kii aashatii
darataa huun aaj baag men wo tund khuu gayaa

waaiz kise daraawe hai yom-ulhisaab se
giriyaan meraa to naamaa-e-aamal dho gaya

phulenge is zabaan men bhii gulzar-e-maarafat
yaan main zamiin-e-sher men ye tukhm bo gayaa

aaya na aitadaal par haragiz mazaaj-e-dahar
main garche garm-o-sard-e-zamaanaa samo gaya

aye "dard" jis kii aankh khulii is jahaan men
shabanam kii tarah jaan ko apanii wo ro gayaa

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved