dil men ab yuun tere bhuule huye gam aate hain - faiz ahmed faiz
dil men ab yuun tere bhuule huye gam aate hain
jaise bichhade huye kaabe men sanam aate hain
ik ik kar ke huye jaate hain taare raushan
merii manzil kii taraf tere qadam aate hain
raqs-e-may tez karo, saaz kii lay tez karo
suu-e-maiKhaanaa safiiraan-e-haram aate hain
kuchh hamiin ko nahiin ehasaan uthaane kaa dimaag
vo to jab aate hain maail-ba-karam aate hain
aur kuchh der na guzare shab-e-furqat se kaho
dil bhii kam dukhataa hai vo yaad bhii kam aate hain
0 comments:
Post a Comment