dil kii baat kahii nahiin jaatii, chup ke rahanaa thaanaa hai - Meer Taqi Meer
dil kii baat kahii nahiin jaatii, chup ke rahanaa thaanaa hai
haal agar hai aisaa hii to jii se jaanaa jaanaa hai
surkh kabhuu hai aansuu hoke zard kabhuu hai muunh meraa
kyaa kyaa rang mohabbat ke hain, ye bhii ek zamaanaa hai
fursat hai yaan kam rahane kii, baat nahiin kuchh kahane kii
aankhen khol ke kaan jo khole bazm-e-jahaan afsaanaa hai
teg tale hii us ke kyuun naa gardan daal ke jaa baithen
sar to aakhirkaar hamen bhii haath kii or jhukaanaa hai
0 comments:
Post a Comment