Sunday 6 November 2011

chhalak ke kam na ho aisii koii sharaab nahiin - Firaq Gorakhpuri

chhalak ke kam na ho aisii koii sharaab nahiin
nigaah-e-nargis-e-r'anaa teraa javaab nahiin

zamiin jaag rahii hai ki inqalaab hai kal
vo raat hai koii zarraa bhii mahv-e-Khvaab nahiin


zamiin us kii falak us kaa qaayanaat us kii
kuchh aisaa ishq teraa KhaanamaaKharaab nahiin

jo tere dard se maharuum hai yahaan un ko
gam-e-jahaan bhii sunaa hai ki dastayaab nahiin

abhii kuchh aur ho insaan kaa lahuu paanii
abhii hayaat ke chehare pe aab-o-taab nahiin

dikhaa to detii hai behatar hayaat ke sapane
Kharaab ho ke bhii ye zindagii Kharaab nahiin

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved