bahut dinon kii baat hai - Salaam Machhli Shehri
bahut dinon kii baat hai
fizaa ko yaad bhii nahiin
ye baat aaj kii nahiin
bahut dinon kii baat hai
shabaab par bahaar thii
fizaa bhii Khush-gavaar thii
na jaane kyuun machal padaa
main apane ghar se chal padaa
kisii ne mujh ko rok kar
badii adaa se Tok kar
kahaa thaa lauT aaiiye
merii qasam na jaaiiye
par mujhe Khabar na thii
maahaul par nazar na thii
na jaane kyuun machal padaa
main apane ghar se chal padaa
main shahar se phir aa gayaa
Khayaal thaa ke paa gayaa
use jo mujhase duur thii
magar merii zaruur thii
aur ik hasiin shaam ko
main chal padaa salaam ko
galii kaa rang dekh kar
naii tarang dekh kar
mujhe badii Khushii huii
main kuchh isii Khushii men thaa
kisii ne jhaank kar kahaa
paraaye ghar se jaaiiye
meri qasam na aaiiye
vahii hasiin shaam hai
bahaar jis kaa naam hai
chalaa huun ghar ko chodakar
na jaane jaauungaa kidhar
koii nahiin jo Tok kar
koii nahiin jo rok kar
kahe ke lauT aaiiye
merii qasam na jaaiiye
merii qasam naa jaaiiye
0 comments:
Post a Comment