ashkon se sharar Tapak rahe hain - Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
ashkon se sharar Tapak rahe hain
ye shole kahaan bhadak rahe hain
hai kis kii ye rahguzar ki zarre
taaron se sivaa chamak rahe hain
murjhaane lagii firaaq kii raat
yaadon ke diye sisak rahe hain
nazaron ne to kho diye nazaare
dil hain ki abhii dhadak rahe hain
yuun baiThe hain ham fiir jaise
sayyaad kii raah tak rahe hain
gulshan gulshan thii apanii manzil
saharaa saharaa bhaTak rahe hain
un aankhon kaa ye hasiin tabassum
jalvon ke nagiin damak rahe hain
0 comments:
Post a Comment