ai maut! unhen bhulaaye zamaane guzar gaye - Khumar Barabankvi
ai maut! unhen bhulaaye zamaane guzar gaye
aa jaa ki zahar khaaye zamaane guzar gaye
O jaane vaale aa ki tere intazaar men
raste ko ghar banaaye zamaane guzar gaye
gam hai na ab khushii hai na ummiid hai na yaas
sab se najaat paaye zamaane guzar gaye
kyaa laayaq-e-sitam bhii nahiin ab main doston
patthar bhii ghar men aaye zamaane guzar gaye
jaane bahaar phuul nahiin aadamii huun main
aa jaa ki muskuraaye zamaane guzar gaye
kyaa kyaa tavaqqoat thii aahon se ai 'khumar'
ye tiir bhii chalaaye zamaane guzar gaye
0 comments:
Post a Comment