Tuesday 15 November 2011

aaj mere shab-e-furqat kii sahar aaii hai - Shamim Jaipuri

aaj mere shab-e-furqat kii sahar aaii hai
muddaton baad terii raahaguzar aaii hai

dekh to liijiye mere Khuun-e-tamannaa ki bahaar
jis kii surKhii merii aankhon men utar aaii hai


tuune to tark-e-muhabbat kii qasam khaaii thii
kyon terii aankh mujhe dekh ke bhar aaii hai

un ke pairaahan-e-rangiin kii mahak hai is men
aaj kyaa baad-e-sabaa hoek udhar aaii hai

is men kuchh un kii jafaayen bhii to shaamil hain 'Shamim'
bevafaaii kii jo tohamat mere sar aaii hai

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved