Silsalay tor gia woh sabhi jatay jatay
silsalay tor gia woh sabhi jatay jatay
warna itnay to maraasim thay kay atay jatay
shikwa zulmat shab se to kahin behtar tha
apne hisay ki koee shamaa jalatay jalatay
kitna asaan tha teray hijr main marna jaanaa
phir bhi ik umar lagee jaan se jatay jatay
jashn e muqtil he na barpa huya warna ham bhi
paa bajoolaan he sahi nachtay gatay jatay
uski woh janay usay pass e wafa tha kay na tha
tum faraz apni taraf se to nibhatay jatay
0 comments:
Post a Comment